Meri passand ka aik shehr

Vous pouvez partager votre passion pour le urdu adab, shairy, poetry ou poésie
Répondre
kashmakash
Messages : 2
Enregistré le : 02 juil. 2019, 22:29

Meri passand ka aik shehr

Message par kashmakash » 03 juil. 2019, 20:05

Aaj ka aik Shehr :

Malal hai magar itna malal thorhi hai
Ye aankh rone ki shiddat sey laal thorhi hai

Bus apne wastey hi fikar-mand hain sab log
Yahan kisi ko kisi ka khayal thorhi hai

Paron ko kaat dia hai urhaney sey pehle
Ye khof-e-hijr hai, shoq-e-wisal thorhi hai

Maza to jab hai K har ke bhi hanstay raho
Hamaisha jeet hi jana kamal thorhi hai ??

Lagani parhti hai dubki ubharney se pehle
Gharoob honey ka matlab zawal thorhi hai


Poète : Parveen Shakir

Répondre